Tuesday, 25 March 2014

Ek choti si love story...............


Vishwas nahi hua apni aankhon par jab mila unsse pehli baar,
Unkii nazron ne anjaane mein kar diya humare dil pe vaar,

Sochta reh gaya kya karu kis tarah karu unse baat,
Par humesha humari kismat mukar gayi aur nahi diya humara saath,

Ek din socha pencil ke bahane puri karunga apni aas,
Jaise hi kadam badhaye teacher ne chaata marke bitha diya apne pass,

Hasne lage sab mujhpe aur nahi hua mera kaam,
Issi tarah udasi se dhali meri aur ek shaam,

Agle din aate hi dil se liya prabhu ka naam,
Nikala apna kalam aur likh diya unke liye paigaam,

Feka unki taraf padhke lage woh sharmane,
Aankhon hi aankhon mein kiya ishara ki abhi unka dil na maane,

Confuse ho gaye hum ki kaise laaye unko apne pass,
Kyunki practical ki ghanti bajne hi wali thi affter class,

Mentos khake maine jalai dimag ki batti,
Peon ko pakda aur usko khilai 100 ki patti,

Peon ne tacher se kaha inn dono ko principal ne hai bulaya,
Na jaane kya baat hai mujhe bhi hai bhagaya,

Bahar nikalke maine pyar se pakda unka haath,
Himmat jutake keh di unse apni dil ki baat,

Baaton hi baaton mein fix kar di unke saath date,
Uss din pata chala kitni fadoo hai meri fate,

Le gaya apne sath ghar pyaari se baatein,
Aajj bhi muskara jaata hu yaad karke woh yaadein,

No comments:

Post a Comment